Tuesday

Jal ki Abhilasha

We're at doodhsagar fall on our way to Kuveshi camp. While looking at the stream Ajay asked me ..'Just like pushp ki abhilasha....what could it mean for this flowing water'...and I couldn't stop thinking about it in this way.

chah nahin tarantalon me
bichh pyari ko lalchaon.
chah nahin subala ke angon ko chhuon
aur bhagya pe idhlaon.
chah nahin filter hoken
bisleri ki bottles me bhara jaon.

ek chhoti si hai abhilasha
ki uthu pawan ke sang udu.
phir banke badal barsoon dhara pe
indhardhanush ke rang bharoon.
barsoon khet khalihaaon me
fasloon me naya jeevan laon.
pyase thakit drigon me jhalkoon
khushion ka sa neer bahaon.

aur ant samay jab aayen jalmaali
uss path pe tum dena mod.
swachand nirantar bahkar miloon mai
nadiyon se sagar ki aur!!

No comments: